अनाउंसमेंट

कविता संसार --- हिन्दी - उर्दू कविताओं का एक छोटा सा संग्रह।

इस संग्रह को और बेहतर बनाने के लिए अपने सुझाव व टिप्पणीयाँ (comment) अवश्य दें ।
आपसे निवेदन है कि आप भी इस संकलन के परिवर्धन में सहायता करें|

यदि आप किसी रचनाकार/शायर को ढूंढ रहे हैं तो आप रचनाकारों की सूची देखें।
Showing posts with label ASIM QAUMI. Show all posts
Showing posts with label ASIM QAUMI. Show all posts

Friday, July 1, 2011

USS KI HASTI MAIN UTTAR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

USS KI HASTI MAIN UTTAR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

KAAM MUSHKIL SAHI KER JANAY KO JEE CHAHTA HAI

SHOK-E-AWARGI ITNA HAI K AB BAN K LAHOO

USS KI RAG RAG SAY GUZAR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

PATHARON K YAHI ANJAM HUA KERTAY HAIN

TOOT K AAJ BIKHAR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

TAKHTA-E-DAAR PAY HUM MAHV-E-TAMASHA DUNIYA

MUNFARID SAB SAY NAZAR AANAY KO JEE CHAHATA HAI

LAB PAY MUSKAN HO AUR DIL MAIN HO MEHSHAR BARPA

AISAY HAALAAT MAIN MUR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

JIS JAGA JA K KOI LOT KAY PHIR AATA NAHIN

JANAY KION AAJ UDHAR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

AAJ TAN MAN KO JALATI HAI HAWA BHI ASIM

AAJ MATTI MAIN UTTAR JANAY KO JEE CHAHTA HAI

teray shanay pay kabhi rakh k yae sar so jaate

teray shanay pay kabhi rakh k yae sar so jatay
roz-o-shab apnay bas aisay hi basar ho jatay


khud numai ka humain shok nahin tha verna
iss tarha jaan lutatay k amar ho jatay


raigzaar-e-gam-e-jana ko basanay k liye
iss qadar ashk bahatay k behr ho jatay


jaan-e-bay faiz ko tasleem nahin tu nay kia
verna shayad shauk say hum taeri nazar ho jatay


tu sadaf hai humain tasleem hai yae baat mager
saath milta jo tera hum bhi guhar ho jatay


tu kabhi rab say humain mang k takta to sahi
hum teri sari duaoon ka asar ho jatay

Kavya kosh is now Kavita Sansar

http://merikuchmanpasandkavitayein.blogspot.in is now http://www.kavitasansar.com/



प्रिय मित्रों ये मेरा कुछ जाने - माने कवियों / शायरों की रचनाऔं का संग्रह है । इस संग्रह को और बेहतर बनाने के लिए अपने सुझाव व टिप्पणीयाँ (comment) अवश्य दें । आपसे निवेदन है कि आप भी इस संकलन के परिवर्धन में सहायता करें यदि आप किसी रचनाकार/शायर को ढूंढ रहे हैं तो आप रचनाकारों की सूची देखें। Kumar Vishwas, Mirza Ghalib, Rahat Indori, Harivanshrai Bachchan, Anamika 'Amber' Jain, etc. (key words - kavita, sher, shayari, sher-o-shayari, hindi kavita, urdu shayari, pyaar, ishq, mohobbat shayari.)

Recomended Poetry books

Here you can find some good hindi Poetry books