Listning and reading Dr. Kumar Vishwas is a very good experience for me. once I listen to his "koi deewana kehta hai....." and I found it is not only interesting but very simple to understand poem since then I became his fan. now I collected some of his other poems. hope everone will like this..............
Panahon mein jo aaya ho, to us par war kya karna?
Jo dil hara hua ho, us pe phir adhikar kya karna?
Mohabbat ka maza to doobne ki kashmkash mein hai,
Jo ho maloom gehraai, to dariya par kya karna.
******************************************************************
Mere jeene main, marne main tumhara naam aaye ga
Main saansein rook lun, phir bhi yehi ilzaam aaye ga
Meri dhadkan main jb tum ho to phir apraadh kya mera
Agar Radha pukaregi to Ghansham aye ga
**************************************************
Main uska hoon wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil main bhi ruswa mujhe har baar karta hai
Yakeen hai saari duniya ko khafa hai hum se wo lekin
Mujhe maalum hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai.
**************************************************
Khud ki aankhon main jo nami paai
Us main dooba to zindagi paai
Dil, jigar, jaan, rooh de kar bhi
Tujh ko dene main kuch kami paai.
http://www.youtube.com/watch?v=oUpd29FSyQ0&feature=related
ReplyDelete