Hai Khayal-e-Husn Mei Husn-e-Amal Ka Sa Khayal..
Khuld Ka Ik Dar Hai,Meri Gor Ke Ander Khula..
*Khuld---Jannat, heaven Gor--Qabr,Grave
**********
GHalib' Hamein Na Ched Ki Phir Josh-e-Ashq Se
Baithe Hain Ham Tahayya-e-Toofaan Kiay Hue
*Tahayya...Irada
**********
Aashiqii Sabr-Talab Aur Tamannaa Betaab
Dil Kaa Kyaa Rang Karuun Khuun-E-Jigar Hone Tak
**********
Phir Hue Hein Gawaah-e-Ishq Talab
Ashq_Baarii Kaa Hukm_Zaarii Hai
**********
Jaam-e-Har Zarra, Hai Sarshar-e-Tamanna Mujh Se..
Kiska Dil Hu'n, Kii Do Alam Se Lagaya Hai Mujhe..
*********
'Ghalib' Tera Ahwal Suna Denge Ham Unko..
Woh Sun Ke Bula Le, Yeh Izaara Nahi Karte..
*Ahwal--Ache haal Izaara--Daava
*********
Kis se, mehromi e qismat ki shikayat kijiye
Hum ne chaha tha ke mar jayein, so wo bhi na hua
********
Had chahye saza mein aqobat k wasty
Akhir gunahgar hun kafir nahi hon mein...!
********
Marte Hein Aarzu Mein Marne Ki..
Maut Aati Hein, Per Nahi Aati..
********
Phir Ussi Bewafa Pe Marte Hein..
Phir Wahi Zindagi Hamari Hein.
********
Rahi Naa Taqat-e-Guftaar Aur Agar Ho Bhi..
Toh Kis Umeed Pe Kahiye Ki Aarzu Kya Hein..
********
Kab Woh Sunta Hein Kahani Meri..
Aur Phir Woh Bhi Zubani Meri..
********
Ghalib khasta k bagair kon se kaam band hein
royiye zaar zaar kya ? .... kijiye hye hye kyun
*********
ishq se tabiyat ne zeest ka mazaa paya
dard ki dawa paai dard la dawa paya
***
Ghalib's full name ( Ghalib ka pura naam ): "Najjmudollah Dabeerul-Mulk Mirza Nosha Mirza Asad-ullah Khan Baig Ghalib"
is mey Kuniyat,Khitab or Alqabat shamil hy..
0 comments:
Post a Comment