Vishdharo'n beech rahe tab jana,
Vish insano me jyada hai.
Insani vishdansho'n ke,
Koi nidan nahi hote.
Peeda ke sagar manthan me,
Til-til jeevan kat diya,
Amrit pas jo hota apne to,
Kandho'n per lash nahi dhote.
Swet pankh wale bagulo'n se,
Machliyan talab ki chali gayi.
Swet vasan wale sab sant nahi hote.
Antar ki pyas na bujh payi,
Sagar-sagar nap liye,
Hamko samajh napaya jag,
Phirte man me ye santap liye.
Swarth heenta hoti sab me to,
Jag me koi pap nahi hote.
Jisko jitna apna samjha,
Usse utne hi ghav mile,
Chal karna humko aata to,
Apne path alag nahi hote.
Pashani chaviyon ke aage,
Roye gaye chillaye,
Pashan nahi pighle tab samjhe,
Pashano'n ke hirday nahi hote.
Nakli range mukhoto'n ke sang, Hum nibah na kar paye,
Rangmancho'n ki iss duniya me,
Jhute abhinay hum se nahi hote.
Poem By : 'Prakash Pandey"
0 comments:
Post a Comment