अनाउंसमेंट

कविता संसार --- हिन्दी - उर्दू कविताओं का एक छोटा सा संग्रह।

इस संग्रह को और बेहतर बनाने के लिए अपने सुझाव व टिप्पणीयाँ (comment) अवश्य दें ।
आपसे निवेदन है कि आप भी इस संकलन के परिवर्धन में सहायता करें|

यदि आप किसी रचनाकार/शायर को ढूंढ रहे हैं तो आप रचनाकारों की सूची देखें।

Tuesday, June 21, 2011

jab yaad tumhari aati hai........ / Avnish Upadhyay

deewana kar deti hai humko,
dil main jaane kitne armaan jagaati hai,
nainon main bhar aate hain ansoo,
jab yaad tumhari aati hai......
Kabhi kar deti hai man ko pulkit,
to kabhi dukh santap jagati hai,
jab yaad tumhari aati hai......
Kabhi muskurata hoon baith akele,
kabhi hiriday ko tar tar kar jati hai,
jab yaad tumhari aati hai......

avrudh ho jaati hai sanse,
nainon main andhiyara kar jati hai,
ruk jaati hai dhadkan dil ki,
sharir se jaaan nikal si jati hai,
ho uthta hoon main vyakul,
jab yaad tumhari aati hai..........

behti hai hawa main khooshboo tumhari,
padon se tumhari payal ki chham chham aati hai,
door kahin pe baith koyal geet milan ke gaati hai,
ho jaati hai prem swapan si ye dunita,
jab yaad tumhari aati hai.......

ho jati hai ghor kali nisha bhi prakashit,
har aur prem ki kiran chhaa jati hai.......
Kar vina ke tar jhankrit hriday main ek nav ullas jagati hai....
Mukhmandan par aati hai muskaan,
jab yaad tumhari aati hai...........

ho jaati hain tan ki ankhen bojhil,
man main chhavi tumhari chhaa jati hai...
Karta hoon baat prem ki tasveer se tumhari,
aur tumhari tasveer mujhse baten karne lag jati hai...
Aa kar baith jati ho tum sammukh mere,
jab yaad tumhari aati hai..........

thandi hawa deti hai ehsas tumhara,
aur balon ko sehlati hai.......
Akar dheere se ,
mere kanon main kuchh keh jati hai......
Mehsus hota hai aks tumhara,
jab yaad tumhari aati hai........

2 comments:

  1. kar hriday ke tar jhnkrit pawan ne,
    chhedi hai koi surmay kavita......
    main hoon tumhara pyasa shrota,
    tum ho meri prem kavita...........
    is pyase banjar hriday main tum,
    jaise le aayi ho koi prem savita.....
    to aa jaao he priyatam mere,
    yahin bas jaao ab ban kar meri prem kavita.....
    goonj uthe hai bol tumhare,
    mere shabdon main, mere prashno, main meri vani main,
    kyun ki goonj uthi ho tum mere hriday main ban kar meri prem kavita..........
    tum chaho na chaho mujhe, ye hai adhiakar tumhara,
    par tumhari ek jhalak paane ko hai pran priye ,
    koi pal pal hai jeeta, chhan chhan hai marta.....
    to chhodo ab ye tark-vitark jahan ke,
    aur bas jaao mere bhawon main ban kar meri prem kavita.........

    ReplyDelete
  2. in naino main hai prem tumhara,
    in adhron pe hai pyas tumhari.........
    rah main khdi main,
    karti hoon bus aas tumhari....
    tum aa jao ab hai priyetam mere,
    in charno par main vaari jaaun bankar ke dass tumhari.....
    mujhko pagli kehti hain sab,
    karti hain jab sakhiyan uphaas humari....
    ho bus ab darshan tere,
    jivan main baaki hai bus yahi abhlash humari....
    aa jaao to ye jeet hai meri,
    na aao to ye haar tumhari......

    ReplyDelete

Kavya kosh is now Kavita Sansar

http://merikuchmanpasandkavitayein.blogspot.in is now http://www.kavitasansar.com/



प्रिय मित्रों ये मेरा कुछ जाने - माने कवियों / शायरों की रचनाऔं का संग्रह है । इस संग्रह को और बेहतर बनाने के लिए अपने सुझाव व टिप्पणीयाँ (comment) अवश्य दें । आपसे निवेदन है कि आप भी इस संकलन के परिवर्धन में सहायता करें यदि आप किसी रचनाकार/शायर को ढूंढ रहे हैं तो आप रचनाकारों की सूची देखें। Kumar Vishwas, Mirza Ghalib, Rahat Indori, Harivanshrai Bachchan, Anamika 'Amber' Jain, etc. (key words - kavita, sher, shayari, sher-o-shayari, hindi kavita, urdu shayari, pyaar, ishq, mohobbat shayari.)

Recomended Poetry books

Here you can find some good hindi Poetry books