warna use chahne ko dil baar -2 nahi karta !!!
Main lafzon mein kuchh bhi izhaar nahi karta,
iska matlab ye nahi main use pyaar nahi karta!
chahta hoon main use aaj bhi lekin,
uske khayalon mein khokar waqt bekaar nahi karta!
bahut ghoomte hain pyaar ki khilli udaane ko,
aur aashikon ko pair ke neeche dabane ko!
har gam ko apne dil mein daba Khush main rehta hoon,
uske liye kuda se ab taqraar nahi karta!
tamasha na ban jaaye mohabbat meri,
isliye dard - e - dil ka main ikraar nahi karta!
par kuchh to baat hai uski fitrat mein 'dilbar',
warna use chahne ko dil baar -2 nahi karta!
Kavya kosh is now Kavita Sansar
http://merikuchmanpasandkavitayein.blogspot.in is now http://www.kavitasansar.com/
प्रिय मित्रों ये मेरा कुछ जाने - माने कवियों / शायरों की रचनाऔं का संग्रह है । इस संग्रह को और बेहतर बनाने के लिए अपने सुझाव व टिप्पणीयाँ (comment) अवश्य दें । आपसे निवेदन है कि आप भी इस संकलन के परिवर्धन में सहायता करें यदि आप किसी रचनाकार/शायर को ढूंढ रहे हैं तो आप रचनाकारों की सूची देखें। Kumar Vishwas, Mirza Ghalib, Rahat Indori, Harivanshrai Bachchan, Anamika 'Amber' Jain, etc. (key words - kavita, sher, shayari, sher-o-shayari, hindi kavita, urdu shayari, pyaar, ishq, mohobbat shayari.)
0 comments:
Post a Comment